Ek saal guzar gaya uss baat ko!!!!
Phir bhi yaad karta hu uss raat ko…
Jab tu meri aawaz sun kar soti thi,
Mujhe yaad kar kitna roti thi..!!!!
Ab pata nahi tu kaisi hai…
Kya ab bhi tu waisi hai…!!!!
Jhagadti thi tu har baat pe…
Thode intezar ki baat se…!!!!
Teri hasi pe main khush hota tha..
Tere ansu dekh main rota tha..
Phir se wahi din aayega…
Ye soch soch main sota tha..
Har lamha uss saal ka main yaad kar sanjota tha..
Phir se wahi din aayega ye soch soch main sota tha…
No comments:
Post a Comment