har faisle dimaag se nahi hote dost.
kuch ko dil se hai liyaa jaata.
mere kharchane se dost-yaar khush rehte hain
bhale hi meri jeb tang ho..use nahi hai siyaa jaata
jaam banaaya saaki ne
toh baarikiyon ko darkinaar kiyaa
bin soche samjhe banaa liya hausla
par feke hue ko waapas nahi hai liyaa jaata
har shaakh pe ullu baitha hai
mere yaar ne mujhe kaha tha
rehne do unko andhere mein
ulluon ko ujaala nahi hai diyaa jaata
bade tark se badee badee batein keh di aapko humne
par sach toh yeh hai ki
kabhi kabhi khud ki baat pe
mujhse amal nahi hai kiyaa jaata.
No comments:
Post a Comment